Safed KHargosh Ki Gend
samundar ke kinare chalte chalte
gend aasman ki taraf ja pahunchi hai
baadalon mein kho gai hai
ya shayad kisi sitare ke
na-hamwar farsh par Thahar gai hai
gend ke na milne par KHargosh ki aankhen
surKH motiyon ki tarah nahin chamaktin
aansuon se bhari rahti hain
wo KHamosh baiTha rahta hai
samundar ke pas nahin jata
aasman ko bhi nahin dekhta
jahan gend chali gai hai
shayad kabhi andhere mein gend
wapas aae to us ke donon taraf kai
chamakdar baadal ya bahut se sitare bane hon
ya phir bana hua tez raushni ka
ek jal aur kuchh nazar na aa sake
ya phaila hua wo samundar
jahan uchhalte uchhalte gend hamesha
KHargosh ko khod deti hai aur kabhi
sitara nahin ban pati
(1158) Peoples Rate This