Rang
laDki
taswiren banati hai
safed kaghaz par
idhar se udhar ko
bahut sari lakiren Dalti hai
in mein koi bhi lakiren
ek dusre ko chhu kar nahin guzarti
shahr se bahar jaane wali saDkon ki tarah
sab lakiren
kisi nai jagah pahuncha deti hain
hum wahan se wapas nahin aa sakte
lakir ke aaKHiri sire par
hamein Thahra dekh ke
laDki pareshan ho jati hai
wo aaiwari paper par
bahut se nuqte Dalti hai
aur phir surKH pencil se
inhin lakiron se milane lagti hai
thoDi hi der mein
ek naya barr-e-azam numudar ho jata hai
laDki lakir ke sire par
Thahre hue aadmi ko
apne barr-e-azam ke ek jazire par le ja kar
chhoD deti hai
is jazire par abhi shayad
bahut ziyaada baadal
bahut ziyaada aasman
bahut ziyaada KHamoshi
aur bahut ziyaada tanhai hai
itni sari chizon ke
zarurat se ziyaada hone par
aadmi Dar jata hai aur
rone lagta hai
wo kahta hai mujhe ek shahr chahiye
laDki wada karti aur use
apni banai hui bahut si taswiren dikhati hai
jin mein dariya samundar jangal aur shahr
hamesha maujud rahte hain
wo ek shahr ko apne pas rakh leta hai
laDki ek aur shahr banati hai
us shahr mein abhi koi nahin rahta
bahut ziyaada KHali ghar
bahut ziyaada KHali raste
bahut ziyaada KHali aasman
laDki apne shahr ko dekhti hai
aur KHamosh ho jati hai
wo ro nahin sakti
use KHamosh baiTha dekh ke
aadmi rangin pencilen uTha kar
bahut ziyaada KHali shahr mein
rang bharne lagta hai
(1243) Peoples Rate This