Nazm
agar main ye nazm na likhta
to mohabbat naraaz ho jati
aur kahti ki main tumhaare sath
saDak par nahin karungi
chae nahin piyungi aur daftar mein
kaam nahin karungi
mohabbat ki naraazgi
kisi jang mein hone wale
nuqsan se ziyaada shadid hoti hai
wo aur bhi kuchh kahti
jo mujhe sunai na deta
aur main us ke nam ek KHat likhta
agar main wo KHat na likhta to mere dost naraaz ho jate
aur kahte hum itwar ke din tumhaare sath
cricket nahin khelenge
aur un mein se ek
railway-line par karte hue KHud-kushi kar leta
aur hamare lae hue phul
apni qabr pe rakhne se inkar kar deta
agar main KHat na likhta
agar main nazm na likhta
to zindagi apna zaiqa kis zaban pe mahsus karti
KHwab kis rasm-ul-KHat mein likhe jate
maut ke raste mein
bichhai jaane wali barudi surang
kaun si sar-zamin pe tayyar hoti
panah dene ke liye
hamesha kis mulk ki sarhaden khuli rahtin
dhamake se phaT jaane ke liye
har bar kaun sa dil aage baDhta
(1201) Peoples Rate This