Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_984dea1447011448e6465e6f7832e9b7, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Mohabbat Ke Raste Mein - Zeeshan Sahil Poetry In English - Darsaal

Mohabbat Ke Raste Mein

mohabbat ke raste mein

ek saDak hai

jo mohabbat ki taraf nahin jati

aur ek pul hai

jo kisi saDak ya dariya ko

par karne mein istimal nahin hota

mohabbat ke raste mein

ek ghar hai

jis mein mohabbat

kabhi nahin rahti

aur ek qila

jis mein andar daKHil ho ke

koi bahar nahin nikal sakta

mohabbat ke raste mein

ek daraKHt hai

hum jis ke sae mein

dhup se nahin bach sakte

aur ek diwar hai

jis par kabhi dhup nahin paDti

mohabbat ke raste mein

ek samundar hai

jis mein kabhi raat nahin hoti

aur ek jangal

jis mein phaili hui raat ko

hum par nahin kar sakte

mohabbat ke raste mein

hawa aur udasi ke ruKH par

ek kamra hai

jis mein baiTh ke

hum kisi ko yaad kar sakte hain

aur bhula sakte hain

(1199) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mohabbat Ke Raste Mein In English By Famous Poet Zeeshan Sahil. Mohabbat Ke Raste Mein is written by Zeeshan Sahil. Read famous Poem Mohabbat Ke Raste Mein for youth and Student by Zeeshan Sahil. Free Download Mohabbat Ke Raste Mein in PDF.