Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_f2cb2f4e44716c54792407c16c9e3be3, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Meri ChiDiyan Hamesha Mar Jati Hain - Zeeshan Sahil Poetry In English - Darsaal

Meri ChiDiyan Hamesha Mar Jati Hain

KHushi ki haalat mein

ya aansu bahate hue

KHamoshi ke sath

meri chiDiyan hamesha mar jati hain

jab un se wada kiya jata hai

ki unhen sair karane ke liye

shahr se bahar le jaya jaega

rang-birangi titliyon wale pinjre mein

ek sath baiThte hue

meri chiDiyan hamesha mar jati hain

jab un se kaha jata hai

unhen ek ghair-abaad jazire mein le ja kar

aazad chhoD diya jaega

reshmi Dori se apne paron ko bandhwate hue

meri chiDiyan hamesha mar jati hain

jab unhen bataya jata hai

agar wo chahen to chand ko chhu sakti hain

kabhi na kabhi

apne TuTe hue paron ke sath

chand ki taraf jate hue

meri chiDiyan hamesha mar jati hain

(1096) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Meri ChiDiyan Hamesha Mar Jati Hain In English By Famous Poet Zeeshan Sahil. Meri ChiDiyan Hamesha Mar Jati Hain is written by Zeeshan Sahil. Read famous Poem Meri ChiDiyan Hamesha Mar Jati Hain for youth and Student by Zeeshan Sahil. Free Download Meri ChiDiyan Hamesha Mar Jati Hain in PDF.