Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_516a8a33a92edc5101a52eb6b60b4610, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Mera Zaiqa - Zeeshan Sahil Poetry In English - Darsaal

Mera Zaiqa

agar wo tumhaari aankh se gir jae

to mera zaiqa ek aansu ki tarah

ek yaad ki tarah hai mera zaiqa

agar wo mere dil se nikal jae

agar wo kahin na ja sake

to mera zaiqa

ek khiDki ki tarah hai

ek kahani ki tarah hai

mera zaiqa

agar wo KHatm na ho sake

agar wo sunaya na ja sake

to mera zaiqa

ek KHwab ki tarah hai

ek Time-bomb ki tarah hai

mera zaiqa

agar use chhua na ja sake

(943) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mera Zaiqa In English By Famous Poet Zeeshan Sahil. Mera Zaiqa is written by Zeeshan Sahil. Read famous Poem Mera Zaiqa for youth and Student by Zeeshan Sahil. Free Download Mera Zaiqa in PDF.