Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_33e7385f884a7819e4292928d7481821, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Mahmud Darwesh Ke Liye KHat - Zeeshan Sahil Poetry In English - Darsaal

Mahmud Darwesh Ke Liye KHat

mere pyare sogwar

mujhe malum hua hai

ki tumhaare logon se zinda rahne ki jagah

aur haq chhine jaane ke bais

tumhaara dil KHairiyat se nahin raha

mujhe malum hua hai

ki tumhaare bahaduron ko dhup se bachane wali Topiyan

un ke KHun se surKH aur tumhaari sabir auraton ke chehre

gham ki shiddat se siyah ho chuke hain

mere bhai zaitun ke daraKHton par lage phul

aur tumhaare phulon jaise bachchon se umaDne wali

KHushbu barud aur dhuwen ki bu mein

badal chuki hai

aur mere dost

suna hai tumhaare sar par hath rakhne wale

ab unhin hathon se tumhaare pairon ke niche zamin khinch rahe hain

abhi is KHat ko likhte hue aisa laga

jaise koi darwaze par hai

main ne darwaza khola

to bahar dur tak kuchh na tha

na koi imarat na koi ghar

na koi mausam na koi din

na koi shaKHs na koi saya

na koi gham na koi aansu

sirf sunana aur KHamoshi

main ne apne dil ka darwaza band kar liya

aur wapas aa gaya

yahan tamam log mom ke sipahiyon

aur aansu zahrili muskurahaTon mein tabdil ho gae hain

mahmud darwesh

tumhein tasalli dene aur tumhaare logon ki himayat mein kahne

ke liye mere pas siwae ek namnak KHamoshi ke

kuchh bhi nahin

ya kuchh log jo meri tarah

apni mezon ki band darwaze ke samne baiThe

un ke KHud-ba-KHud khulne ya kisi aur na hone wale moajize ke muntazir hain

(1812) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mahmud Darwesh Ke Liye KHat In English By Famous Poet Zeeshan Sahil. Mahmud Darwesh Ke Liye KHat is written by Zeeshan Sahil. Read famous Poem Mahmud Darwesh Ke Liye KHat for youth and Student by Zeeshan Sahil. Free Download Mahmud Darwesh Ke Liye KHat in PDF.