Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_d7a56c4cb0e01dc3186ab71db0174e7f, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Log - Zeeshan Sahil Poetry In English - Darsaal

Log

kuchh log bhagte hue mare gae

aur kuchh paidal chalte hue

kaam par jaane walon ka ruKH ghar ki taraf ho gaya

aur ghar jaane wale

qabristan pahunch gae

diwar ke pichhe chhupe hue log bhi mare gae

aur apne ghar ka darwaza band karne wale bhi

chhat par soe hue log bhi KHatm hue

khiDkiyon se jhankte hue bhi

har saDak par maut chal rahi thi

aur har diwar par

us ke hathon ke nishan maujud the

kapDe ko pani mein Dubo kar jo log

diwaren saf kar rahe the

wo bhi aaKHir mein mare gae

(1018) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Log In English By Famous Poet Zeeshan Sahil. Log is written by Zeeshan Sahil. Read famous Poem Log for youth and Student by Zeeshan Sahil. Free Download Log in PDF.