KHat
shahr KHat likhta hai
sab se pahle tariKH
yani jis din KHat likha gaya
jagah yani jahan se KHat likha gaya
aur phir waqt
jis waqt shahr ne ye KHat likhna shurua kiya
shayad wo ro raha tha
nili raushnai se likhe gae lafz
jagah jagah se phail gae hain
aur kaghaz itna KHasta hai ki agar KHat ziyaada der Dak mein rahta to shayad
lifafe ke andar hi kaT phaT jata
KHat likhne ke dauran hi
shahr ke sine par
Dher sari goliyan daghi gain
shahr ki aankhon mein
rakh aur barud ke zarre
bhare gae
shahr ko der tak dhup mein baiThna paDa
aur is se bhi ziyaada der
andheron mein rahna paDa
shahr subh se dopahar tak
diwar ke sath laga
khaDa raha
aur Dar ke mare
bahut si baaten likhte likhte rah gaya
shahr wo baaten bhula nahin
us ne likha hai wo apni Diary mein
sab kuchh note kar raha hai
us ne likha hai log is Diary ko
churane ki koshish kar rahe hain
us ne likha wo apni Diary ek din
shahr na jaane kya likhna chahta tha
aur likh nahin saka
tin chauthai KHat likhne ke baad
shahr ka kaghaz shahr ki nili raushnai
shahr ki siyahi shahr ke lafz
sab kuchh KHatm ho kar rah gaya
shahr us KHat ke shurua mein
us shaKHs ka nam likhna bhul gaya
jise wo KHat likhna chah raha tha
aur KHat KHatm karne ke baad
ya shayad is se pahle hi
shahr apna nam bhi bhul chuka tha
(1232) Peoples Rate This