Kashti
hum likhne wale
wo kahani hain
jo KHizan mein lakkhi jati hai
aur bahaar mein sunai jati hai
aur wo git hain
jo andhere mein gaya jata hai
aur raushni mein
dohraya jata hai
hum ek aisi diwar hain
jo kisi ke raste mein nahin aati
aur ek aisa darwaza
jo hamesha dariya ki taraf khulta hai
aur ek aisi khiDki
jo kabhi bazar ki taraf nahin khulti
hum ek aisa daraKHt hain
jise aap kaT to sakte hain
magar laga nahin sakte
hum us daraKHt ke
kaTe jaane ka afsos
hum us daraKHt mein
phuTne wali konpalon
ki KHushi
hum us daraKHt ka saya
aur hum us ki lakDi se bani hui
ek aisi kashti hain
jis mein bheDiye
safar nahin kar sakte
(1270) Peoples Rate This