Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_8108d688aa17eb769f8451950a098d42, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kal - Zeeshan Sahil Poetry In English - Darsaal

Kal

guzre hue kal aur

aaj ke bare mein

hum bahut kuchh kah sakte hain

kal hum ek suraj the

aur aaj mahz ek tufaili chand

kal hum ek daraKHt the

aur aaj us ki lakDi se bani

ek sang-dil kulhaDi

kal hum ek rang-birangi kashti the

aur aaj samundar ki tah mein

kekaDon aur ghonghon ka

nim tarik Thikana

magar is tarah ki baaten

kya is ek baat ki shiddat ko kam kar sakti hain

jise hum sunna nahin chahte

kal hum ek tawana jism the

aur aaj ek sukhti hui lash

(1091) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kal In English By Famous Poet Zeeshan Sahil. Kal is written by Zeeshan Sahil. Read famous Poem Kal for youth and Student by Zeeshan Sahil. Free Download Kal in PDF.