GaDhi Mera
main tha aur phul the ek gosha-e-tanhai mein
hum se kuchh dur parinde bhi the gahrai mein
nil-gun aasman shaffaf nazar aata tha
bahta pani bhi bahut saf nazar aata tha
dhup thi tez magar dil ko bhali lagti thi
wadi-e-sabz mohabbat ki gali lagti thi
chadaren oDhe hue laDkiyan hairan si thin
mere ham-rah wo ek KHwab-e-pareshan si thin
baat karte hue hanste hue Dar jati thin
surKH phulon ke simaTne pe bikhar jati thin
jism se dil ke talluq ka hawala bhi na tha
khoi chizon ko koi DhunDne wala bhi na tha
har taraf guzre hue waqt ki KHamoshi thi
yaad ek yaad na thi sirf faramoshi thi
KHatm hoti hui ek sham adhuri thi bahut
zindagi se ye mulaqat zaruri thi bahut
(1056) Peoples Rate This