Ek LaDki Ne Aaina Dekha
ek laDki ne aaina dekha
aaine mein khile hue the phul
aaine mein charagh jalte the
aaina ek rahguzar tha jahan
KHwab KHwabon ke sath chalte the
aaine mein bana hua tha bagh
bagh mein sham hone wali thi
(sham ke phailte andhere mein
laDkiyan bagh mein nahin jatin)
aaine mein na tha koi dariya
aaine mein na tha koi jangal
aaine mein na tha koi sahra
aaine mein na tha koi baadal
aaine mein bas ek samundar tha
(laDkiyan jis se Darti rahti hain)
aur samundar ki nil-gun tah mein
ek laDki ne aaina dekha
aaine mein khile hue the phul
aaine mein charagh jalte the
aaina ek rahguzar tha jahan
KHwab KHwabon ke sath chalte the
(1119) Peoples Rate This