Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_c7292ecacd213339a035a108580def6f, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
ChhoTi Si Bachchi - Zeeshan Sahil Poetry In English - Darsaal

ChhoTi Si Bachchi

main nazm likhta hun

chhoTi si bachchi mujhe dekhti hai

aur mere pas baiTh jati hai

main likhta rahta hun

wo takiye par apne baalon bhare bandar ko sulane lagti hai

wo apne chhoTe se hathi ko

hathon mein le kar us se baaten karti hain

bahar se firing ki aawaz aati hai

main us se puchhta hun

Dar to nahin lag raha?

nahin wo bahut aasani se jawab deti hai

aur apna hathi mujhe de deti hai

jahan shishe ke do chamakdar baizawi TukDon mein

chhoTi si bachchi ka aks

hamesha jhilmilata rahta hai

main nazm likhta rahta hun

khelte khelte achanak

wo mujh se puchhti hai

'zishan', kya tumhein bhi

bahut sara home-work mila hai?

han, bahut sara

main kahta hun

aur us ke hathi se khelne lagta hun

(1074) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

ChhoTi Si Bachchi In English By Famous Poet Zeeshan Sahil. ChhoTi Si Bachchi is written by Zeeshan Sahil. Read famous Poem ChhoTi Si Bachchi for youth and Student by Zeeshan Sahil. Free Download ChhoTi Si Bachchi in PDF.