Bachchon Ki Bicycle
bachchon ki bicycle
maidan-e-jang mein
kisi kaam nahin aati
tank ko aata dekh ke
Dar ke mare chal nahin pati
ghanTi nahin bajati
ek jagah jam jati hai
itni chhoTi ho jati hai
ki tank ko nazar nahin aati
jab tank apna rasta banate hue
us pe se guzar jata hai
to ek halki si aawaz
har taraf phail jati hai
ek chhoTa sa dhabba
zamin pe numudar ho jata hai
tank aage baDhta hai to bahut si
chhoTi chhoTi bicyclen
tank ko gher leti hain
ghanTiyan baja baja ke pagal kar deti hain
bhagne nahin detin
Dara Dara ke KHatm kar deti hain
(1025) Peoples Rate This