AaKHiri KHwahish
nazmon ki kitab mein
logon ko us ki aaKHiri KHwahish mili
us ne likha tha
meri aankhen us gulu-kar ko de dena
jo apne maddah aur rang dekhna chahta ho
aur mera dil is mujassama-saz ke liye hai
jo apna dil kisi mujassame mein rakh ke bhul gaya ho
mere hath us mallah ki amanat hain
jis ke hath un dinon kaT diye gae the
jab kashtiyan jala di gain
aur dariya par karana sab se baDa jurm tha
us ne kuchh logon ko dusre kinare tak pahuncha diya
wapsi pe sarkari karinde us ke muntazir the
wo apne hathon ke bare mein kuchh nahin batata
magar main un logon mein shamil tha
jo us ki kashti mein dusre kinare tak gae the
aankhen dil aur hath
kisi bhi shaKHs ko zinda rakh sakte hain
aur mar sakte hain
(1853) Peoples Rate This