Aadhi Zindagi
aasman ka ek hissa mere dekhne ke liye hai
aur zamin ka ek hissa tumhaare chalne ke liye
suraj tumhaari aankhon se nikalta aur chand
mere dil mein Dub jata hai
samundar ka shor tumhaare dil mein band hai aur
dariya ki KHamoshi meri aankhon mein
tum ek kashti mein safar karti ho aur main
us ke sath sath uDne wale baadal mein
mujhe diwar par baiTha hua safed kabutar achchha lagta hai
aur tumhein pinjre mein qaid ek kali chiDiya
jo andhere mein barish ke baad
nikalne wali bair-bahoTiyon ki tarah surKH ho jati hai
tumhaara dil granite se bana ek mor hai jo apne pairon ko dekh kar ro nahin sakta
aur mera dil miTTi mein dhansi hui ek barudi surang
jo tumhein raste se guzarta dekh kar
dhamake se TukDe TukDe hona bhul jata hai
(1108) Peoples Rate This