9
ek umr dil ke pas raha wo magar kahin
jab bhi mila to jaise ki kuchh jaanta nahin
aankhon mein ek ajib shanasai thi magar
gahraiyon mein dil ki pazirai thi magar
dekha kuchh is tarah se ki pahchanta nahin
kuchh hum se aashnai hai ye manta nahin
main ne kaha ki tum se mulaqat hai bahut
har roz rasm-o-rah-e-mudaraat hai bahut
kahne laga ki koi KHalish hai nigah mein
hail hai fasla koi barson ka rah mein
mahw-e-safar hain aur abhi ham-safar nahin
hamrah dil ke dil hai magar rahguzar nahin
KHwabon mein subh-o-sham mile bhi agar to kya
do-chaar phul dil mein khile bhi agar to kya
jo kuchh dil-o-nigah ne chaha wo ho gaya
ye socha dil ne aur nigahon mein kho gaya
(1009) Peoples Rate This