Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_a8654faf19ae8d1b78cca5ca7bb683b1, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Phulon Ki Anjuman Mein Bahut Der Tak Raha - Zeeshan Sahil Poetry In English - Darsaal

Phulon Ki Anjuman Mein Bahut Der Tak Raha

phulon ki anjuman mein bahut der tak raha

koi mere chaman mein bahut der tak raha

aaya tha mere pas wo kuchh der ke liye

suraj magar gahan mein bahut der tak raha

main rokta raha use chaalakiyon ke sath

wo apne bhole-pan mein bahut der tak raha

jo shah mili to dil mera bebak ho gaya

nairangi-e-badan mein bahut der tak raha

aankhon mein aa gaya hai meri bhi zara sa dagh

phul us ke pairahan mein bahut der tak raha

aaya nahin hai khinch ke lana paDa mujhe

dil yar ke watan mein bahut der tak raha

us ke baghair jaise jahannam hai zindagi

main jannat-e-adn mein bahut der tak raha

donon se sath sath mulaqat ho gai

kuchh sarw kuchh saman mein bahut der tak raha

(1280) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Phulon Ki Anjuman Mein Bahut Der Tak Raha In English By Famous Poet Zeeshan Sahil. Phulon Ki Anjuman Mein Bahut Der Tak Raha is written by Zeeshan Sahil. Read famous Poem Phulon Ki Anjuman Mein Bahut Der Tak Raha for youth and Student by Zeeshan Sahil. Free Download Phulon Ki Anjuman Mein Bahut Der Tak Raha in PDF.