Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_154b28f5ff070db48fceedb6257f5035, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Main Uski Anjuman Mein Akela Nahin Gaya - Zeeshan Sahil Poetry In English - Darsaal

Main Uski Anjuman Mein Akela Nahin Gaya

main us ki anjuman mein akela nahin gaya

jo main gaya to phir koi tanha nahin gaya

main chahta tha us ki nigahon se khelna

lekin zara si der bhi khela nahin gaya

mumkin nahin tha husn o nazar ka muwazana

mujh se to us ko Thik se dekha nahin gaya

tahwil mein kisi ki pahunch ke hai KHush wo dil

jis ko kisi maqam par rakkha nahin gaya

donon taraf thi ek shikayat likhi hui

chaha kabhi gaya kabhi chaha nahin gaya

(1052) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Uski Anjuman Mein Akela Nahin Gaya In English By Famous Poet Zeeshan Sahil. Main Uski Anjuman Mein Akela Nahin Gaya is written by Zeeshan Sahil. Read famous Poem Main Uski Anjuman Mein Akela Nahin Gaya for youth and Student by Zeeshan Sahil. Free Download Main Uski Anjuman Mein Akela Nahin Gaya in PDF.