Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_fdbfdc17bb9e91db0b2db3bbe3530650, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Koi Qusur Nahin Meri KHush-gumani Ka - Zeeshan Sahil Poetry In English - Darsaal

Koi Qusur Nahin Meri KHush-gumani Ka

koi qusur nahin meri KHush-gumani ka

asar hai ye teri aankhon ki be-zabani ka

kisi ne meri mohabbat ko kar liya mahfuz

KHayal aaya kisi ko to pasbani ka

barae nam sa pul bhi nahin bana mujh se

ki kuchh ilaj nahin tha teri rawani ka

hamare dil ka alamnak daur hai shayad

samajh rahe hain jise khel sab jawani ka

wo dastan mukammal kare to achchha hai

mujhe mila hai zara sa sira kahani ka

(1178) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Koi Qusur Nahin Meri KHush-gumani Ka In English By Famous Poet Zeeshan Sahil. Koi Qusur Nahin Meri KHush-gumani Ka is written by Zeeshan Sahil. Read famous Poem Koi Qusur Nahin Meri KHush-gumani Ka for youth and Student by Zeeshan Sahil. Free Download Koi Qusur Nahin Meri KHush-gumani Ka in PDF.