Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_f221a6a703cf7850e1b458aa08320a62, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Is Dasht-e-be-panah Ki Had Par Bhi KHush Nahin - Zeeshan Sahil Poetry In English - Darsaal

Is Dasht-e-be-panah Ki Had Par Bhi KHush Nahin

is dasht-e-be-panah ki had par bhi KHush nahin

main apni KHwahishon se bichhaD kar bhi KHush nahin

ek sarKHushi muhit hai chaaron taraf magar

basti mein koi shaKHs koi ghar bhi KHush nahin

kitne hain log KHud ko jo kho kar udas hain

aur kitne apne-ap ko pa kar bhi KHush nahin

ye kaifiyat ghulam nahin qaid-o-band ki

andar jo apne KHush nahin bahar bhi KHush nahin

sahil ki bhigi ret pe chalta barhana-pa

main hun udas aur samundar bhi KHush nahin

(1066) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Is Dasht-e-be-panah Ki Had Par Bhi KHush Nahin In English By Famous Poet Zeeshan Sahil. Is Dasht-e-be-panah Ki Had Par Bhi KHush Nahin is written by Zeeshan Sahil. Read famous Poem Is Dasht-e-be-panah Ki Had Par Bhi KHush Nahin for youth and Student by Zeeshan Sahil. Free Download Is Dasht-e-be-panah Ki Had Par Bhi KHush Nahin in PDF.