Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_87ef5cd478dbb9f1c392342b9cf1403f, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ghubar Dil Se Nikala Nazar Ko Saf Kiya - Zeeshan Sahil Poetry In English - Darsaal

Ghubar Dil Se Nikala Nazar Ko Saf Kiya

ghubar dil se nikala nazar ko saf kiya

phir us ke baad mohabbat ka e'tiraf kiya

jo wo nahin tha to main muttafiq tha logon se

wo mere samne aaya to iKHtilaf kiya

har ek jurm ki pata raha saza lekin

har ek jurm zamane ka main ne maf kiya

wo shab guzarne aaega mere kuche mein

hawa-e-sham ne dhire se inkishaf kiya

is anjuman mein main aaya tha jin ki marzi se

unhen tumhaari nazar se mere KHilaf kiya

(1050) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghubar Dil Se Nikala Nazar Ko Saf Kiya In English By Famous Poet Zeeshan Sahil. Ghubar Dil Se Nikala Nazar Ko Saf Kiya is written by Zeeshan Sahil. Read famous Poem Ghubar Dil Se Nikala Nazar Ko Saf Kiya for youth and Student by Zeeshan Sahil. Free Download Ghubar Dil Se Nikala Nazar Ko Saf Kiya in PDF.