Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_8647f7bbd64d6b31a2e2b3fd2a14f728, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Gard-e-safar Mein Rah Ne Dekha Nahin Mujhe - Zeeshan Sahil Poetry In English - Darsaal

Gard-e-safar Mein Rah Ne Dekha Nahin Mujhe

gard-e-safar mein rah ne dekha nahin mujhe

ek umr mahr o mah ne dekha nahin mujhe

achchha hua ki KHak-nashinon ke ru-ba-ru

us shahr-e-kaj-kulah ne dekha nahin mujhe

main dekhta tha rang badalti hui nigah

badli hui nigah ne dekha nahin mujhe

meri sada wahan pe tujhe kaise DhunDti

teri jahan panah ne dekha nahin mujhe

har mauj-e-dard KHud main utare chala gaya

'sahil' dil-e-tabah ne dekha nahin mujhe

(1071) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gard-e-safar Mein Rah Ne Dekha Nahin Mujhe In English By Famous Poet Zeeshan Sahil. Gard-e-safar Mein Rah Ne Dekha Nahin Mujhe is written by Zeeshan Sahil. Read famous Poem Gard-e-safar Mein Rah Ne Dekha Nahin Mujhe for youth and Student by Zeeshan Sahil. Free Download Gard-e-safar Mein Rah Ne Dekha Nahin Mujhe in PDF.