Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_385fa2188a9ad7ab73a70920357b89a9, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Dil Muztarib Hai Aur Pareshan Jism Hai - Zeeshan Sahil Poetry In English - Darsaal

Dil Muztarib Hai Aur Pareshan Jism Hai

dil muztarib hai aur pareshan jism hai

us ke baghair be-sar-o-saman jism hai

ab ho nahin sakega mudawa kisi tarah

wo jo kahin nahin hai to be-jaan jism hai

dil to junun ke khel mein masruf hai magar

us ki nawazishat pe hairan jism hai

main ne bana diya hai jise ishq mein ghazal

dil us ka hai bayaz to diwan jism hai

ab us ke gham se mujh ko milegi kahan najat

dil pasban hai aur nigahban jism hai

(1431) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Muztarib Hai Aur Pareshan Jism Hai In English By Famous Poet Zeeshan Sahil. Dil Muztarib Hai Aur Pareshan Jism Hai is written by Zeeshan Sahil. Read famous Poem Dil Muztarib Hai Aur Pareshan Jism Hai for youth and Student by Zeeshan Sahil. Free Download Dil Muztarib Hai Aur Pareshan Jism Hai in PDF.