Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_404db97f410efdc04a695f18f07699b3, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Isi Dar Se Isi Diwar Se Aage Nahin BaDhta - Zeeshan Mehdi Poetry In English - Darsaal

Isi Dar Se Isi Diwar Se Aage Nahin BaDhta

isi dar se isi diwar se aage nahin baDhta

ye kaisa pyar hai jo pyar se aage nahin baDhta

hamari KHwahishen izhaar ki had tak nahin jatin

hamara hausla didar se aage nahin baDhta

hamari zindagi mein ek susti si musalsal hai

hamara KHun is raftar se aage nahin baDhta

kisi ke hath se pi kar kisi ko bhul jate hain

hamara dard is mear se aage nahin baDhta

hamari zindagi logon mein rah kar bhi akeli hai

hamara rasta bazar se aage nahin baDhta

ajab ek qaht hai us aankh mein tere hawale se

chhalak kar ashk bhi ruKHsar se aage nahin baDhta

hamari justuju hai hum tere iqrar tak pahunchen

hamara KHwab ek inkar se aage nahin baDhta

hamari soch teri gard-e-pa ko chhu nahin sakti

hamara zehn is aazar se aage nahin baDhta

hamari aarzu 'zishan' puri hi nahin hoti

hamara masala aKHbar se aage nahin baDhta

(1491) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Isi Dar Se Isi Diwar Se Aage Nahin BaDhta In English By Famous Poet Zeeshan Mehdi. Isi Dar Se Isi Diwar Se Aage Nahin BaDhta is written by Zeeshan Mehdi. Read famous Poem Isi Dar Se Isi Diwar Se Aage Nahin BaDhta for youth and Student by Zeeshan Mehdi. Free Download Isi Dar Se Isi Diwar Se Aage Nahin BaDhta in PDF.