Kahan Bashaarat-e-fasl-e-bahaar Lai Thi
kahan bashaarat-e-fasl-e-bahaar lai thi
hawa to bagh ki izzat utar lai thi
gulon pe uDti hui titliyon se yaad aaya
teri talab mujhe dariya ke par lai thi
sada na phir mere be-jaan jism se nikli
hawa to us ko gupha tak pukar lai thi
tumhaare sae se arman sab nikale gae
visal-rut samar-e-intizar lai thi
wo koi KHas chamak DhunDhta raha 'zishan'
hamari aankh safar ka ghubar lai thi
(1027) Peoples Rate This