Gladiator
ajib manzar tha
shor aisa
ki
kan andhe hue paDe the
main KHwab mein ek tamash-bin tha
main dekhta tha
wo laD rahe the wo ek-duje se laD rahe the
ghubar uDta tha un rathon se
jo un ke jismon ko raundne ke liye rawan thin
main dekhta tha
wo sans andar ko khinchte the to khaDkhaDate the
aur hawaon ke KHali daman mein dhoka zyaada tha sans kam the
phir un ke zaKHmon se KHun rista tha
jo tapakti zamin pe girta tha
aur chamakta tha
sirf main tha wahan pe maujud lakhon logon mein sirf main tha jo
un ke zaKHmon pe ro raha tha
main apne kamre mein so raha tha
ajib manzar tha
KHwab ke ghar se lauT aaya hun
ek jhaTke se aankh kholi hai
jism aabaad ho gaya hai
ab apne bistar ki silwaTon par badan ko mahsus karte socha hai
main bhi duniya ke us irina mein laD raha hun
mere badan se bhi KHun hota hua pasina zamin pe girta hai
aur chamakta hai
aaj mere liye bhi zalim hawa ke daman mein sansen kam hain
gladiator hun
aur hathon mein ye qalam hai
mere liye koi aankh nam hai
(955) Peoples Rate This