Waqt Ki Barf Hai Har Taur Pighalne Wali
waqt ki barf hai har taur pighalne wali
din bhi hai zer-e-safar sham bhi Dhalne wali
ishq sae ki tarah sath chipak jata hai
ye bala to na kisi taur hai Talne wali
hum wo pahiye jo agar sath barabar na chale
ek meter bhi ye gaDi nahin chalne wali
ek dhaDka hai mere dil ko KHabardari ka
ek KHwahish hai mere zehn mein palne wali
zard kah kar nazar-andaz kiya tha jis ko
ab wahi shaKH hui phulne-phalne wali
hai ajab waqt ki holi ki har ek chakkar par
sui chehre pe naya rang hai malne wali
daera toDa to hairat hi dar aai 'zishan'
ab ye hairat nahin andar se nikalne wali
(1614) Peoples Rate This