KHak Ho Jaenge Kirdar Ye Jaane Mane
KHak ho jaenge kirdar ye jaane mane
aur miTTi se milenge sabhi tane-bane
zindagi ki to kabhi bhar na saki almari
pur kiye main ne tamannaon ke sare KHane
hum ye kin tund hawaon ki zadon mein aae
hum parinde to faqat aae the chugne dane
mujh ko dariyaon ne sahraon mein thame rakkha
main ne dariyaon mein Dale the kisi pal aane
canwas chaaron taraf phaila hua hai 'zishan'
par nahin zehn jo taswir ko pura jaane
(1237) Peoples Rate This