Kab Tak Wo Mohabbat Ko Nibhata Nazar Aata
kab tak wo mohabbat ko nibhata nazar aata
ab main bhi nahin jaan se jata nazar aata
tum to meri har samt hawaon ki tarah ho
mausam koi furqat ka jo aata nazar aata
hai raushni itni ki dikhai hi na kuchh de
warna hamein is taq mein data nazar aata
chalti zara tezi se hawa to main patangen
kuchh aur bulandi pe uData nazar aata
manzar mein tajassus hai na jadu na kashish hai
hote to ye wo KHwab dikhata nazar aata
main waqt ki sui se bandha rahta hun warna
sahra mein bahut ret uData nazar aata
aao zara is samt se dekho wo zamin hai
har ek hai duje ko miTata nazar aata
'zishan' buton mein jo koi zindagi hoti
main sab se zabardast banata nazar aata
(991) Peoples Rate This