Na Hoga Hashr Mahshar Mein Bapa Kya
na hoga hashr mahshar mein bapa kya
na hoga mera un ka faisla kya
dagha dega mujhe wo pur-jafa kya
na aaDe aaegi meri wafa kya
chaman mein kis liye gul hans rahe hain
shagufa tu ne chhoDa ai saba kya
chalo bigDo na mah kahne par itna
bashar se ho nahin jati KHata kya
unhen tark-e-talluq hai jo manzur
mujhe ilzam dete hain wo kya kya
wo kab ka bah gaya sab KHun ho kar
lagaega koi dil ka pata kya
kiya hai wada-e-farda kisi ne
na hogi ab qayamat bhi bapa kya
KHuda ki bhi nahin sunte hain ye but
bhala main kya hun meri iltija kya
jafaon ke liye ki thin wafaen
natija dosti ka hai dagha kya
unhin ki si ye dil bhi kah raha hai
misal-e-chashm-e-jaanan phir gaya kya
ajab andaz se nikla mera dam
ada-e-yar thi meri qaza kya
manane se nahin manta jo koi
hamara dam KHafa hota hai kya kya
diye dukh bhi to ji bhar ke na hum ko
falak tu kya hai tera hausla kya
dagha di hum ko dil le kar hamara
yahi jurm-e-wafa ki thi saza kya
mujhe kyun aaj hichki aa rahi hai
koi yaad aai aur un ko jafa kya
karen shikwa na sahab dahr ka bhi
zamane mein tumhin ho bewafa kya
shab-e-furqat dagha di zabt ne bhi
dila sach hai kisi ka aasra kya
wo be-KHud pa ke 'zeba' ko ye bole
dil aaya aap ka mera gaya kya
(1459) Peoples Rate This