Kya Mila Qais Ko Gard-e-rah-e-sahra Ho Kar
kya mila qais ko gard-e-rah-e-sahra ho kar
rah gaya hota ghubar-e-dar-e-laila ho kar
yaad aate hain chaman mein jo kisi ke aariz
gul khaTakte hain meri aankhon mein kanTa ho kar
pahle kya tha jo kiya karte the tarif meri
ab hua kya jo bura ho gaya achchha ho kar
dil mein rakh gard-e-kudurat na bahut ai kam-bin
kahin rah jae na ye aaina andha ho kar
hijr mein yaad-e-mizha aur bhi taDpati hai
qalb-e-bismil mein khaTakti hai ye kanTa ho kar
nala-e-garm ne tasir ajab dikhlai
rah gaya misl-e-charagh aap mein ThanDa ho kar
yar ke ruKH ki sabahat ka tasawwur shab-e-hijr
aaya taskin ko meri nur ka taDka ho kar
dil se kahta hai gham-e-ulfat-e-jaanan dam-e-marg
tum to duniya se chale main rahun kis ka ho kar
chhoDna ai gham-e-ulfat na kabhi sath us ka
kahin ghabrae mera dil na akela ho kar
aae to wasl ka din ho to kahin bos-o-kanar
sab nikal jaegi sharm un ki pasina ho kar
jism-e-anwar ki latafat ki sana kya kije
jama-e-yar na utra kabhi maila ho kar
dahr ki dekhte hain past-o-buland ai 'zeba'
karbala jaenge is waste batha ho kar
(1283) Peoples Rate This