Kis Sher Mein Sana-e-ruKH-e-mah-jabin Nahin
kis sher mein sana-e-ruKH-e-mah-jabin nahin
hai aasman-e-husn ghazal ki zamin nahin
kyunkar kahun ki tum sa koi naznin nahin
aajiz kuchh ai hasin mera husn-afrin nahin
ek ek suKHan pe karte hain sau sau nahin nahin
kya dusra jahan mein tum sa hasin nahin
tujh sa jahan mein ai yam-e-KHubi hasin nahin
hai mauj-e-bahr-e-husn ye chin-e-jabin nahin
achchhi nahin hai roz ki ai naznin nahin
han han payam-e-wasl pe kijiye nahin nahin
kabe mein but-kade mein na dil mein na arsh par
ai but kahan nihan hai ki milta kahin nahin
jalwa tera kahan nahin ai aasman-e-husn
jis ja falak na ho koi aisi zamin nahin
tanhai-e-lahad se na ghabraen kis tarah
munis nahin shafiq nahin ham-nashin nahin
paiman-shikan jahan mein na hoga huzur sa
ifa-e-wada tum se agar ho yaqin nahin
kya ham-sari karega teri mah-e-asman
abru nahin teri si teri si jabin nahin
maujud jism mein hai par aankhon se hai nihan
tar-e-nigah hai kamar-e-naznin nahin
ro-ro ke haal-e-ishq jo kahta hun un se main
hans hans ke mujh se kahte hain hum ko yaqin nahin
kis din unhon ne sidhi tarah hum se baat ki
ulTi hamare qatl pe kab aastin nahin
wo dil udas hai ki jo KHali hai ishq se
viran hai wo makan ki jis mein makin nahin
bosa talab kiya sar-e-mahfil jo yar se
boli haya-e-ru-e-nigarin nahin nahin
mayus wasl se dil-e-gham-ghin hai kis qadar
har chand ham-kanar hain wo par yaqin nahin
aankhon mein nur dil mein ziya sine mein safa
jalwa kahan kahan tera ai naznin nahin
(1580) Peoples Rate This