Aisi Tashbih Faqat Husn Ki Badnami Hai
aisi tashbih faqat husn ki badnami hai
mah aariz ko likha KHame ki ye KHami hai
rang ye un ki sabahat ne ajab dikhlaya
surKH joDe pe guman hota hai baadami hai
kahte phirte ho bura mujh ko ye baat achchhi nahin
meri ruswai mein sahab ki bhi badnami hai
aap ki baaton se dil pak gaya jab kahta hun main
hans ke kahte hain ye ulfat ki faqat KHami hai
chumta hai koi aankhon se lagata hai koi
hai libas aap ka ya jama-e-ehrami hai
nahin Dagne ka qadam rah-e-wafa se apna
jo sitam chaho karo sabr mera hami hai
aap ki ishq ki iza mein hai lutf o rahat
aap par KHatm meri jaan dil-arami hai
hum akele nahin rahte shab-e-tanhai mein
yas-o-andoh-o-gham o hasrat-o-nakaami hai
dil ko abru hain pasand aankh ko chashm-e-mai-gun
koi duniya mein hilali hai koi jami hai
lauh-e-quran jo kaha un ki jabin ko 'zeba'
is mein kuchh shak nahin tashbih ye ilhami hai
(1353) Peoples Rate This