Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_943366fe24471fc00eff6ba3522a2db4, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
ZaKHm Purane Phul Sabhi Basi Ho Jaenge - Zeb Ghauri Poetry In English - Darsaal

ZaKHm Purane Phul Sabhi Basi Ho Jaenge

zaKHm purane phul sabhi basi ho jaenge

dard ke sab qisse yaad-e-mazi ho jaenge

sansen leti taswiron ko chup lag jaegi

sare naqsh karishmon se aari ho jaenge

aankhon se masti na labon se amrit Tapkega

shisha-o-jam sharabon se KHali ho jaenge

khuli chhaton se chandni raaten katra jaengi

kuchh hum bhi tanhai ke aadi ho jaenge

kucha-e-jaan par gahre baadal chhae rahenge 'zeb'

us ki khiDki ke parde bhaari ho jaenge

(1263) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

ZaKHm Purane Phul Sabhi Basi Ho Jaenge In English By Famous Poet Zeb Ghauri. ZaKHm Purane Phul Sabhi Basi Ho Jaenge is written by Zeb Ghauri. Read famous Poem ZaKHm Purane Phul Sabhi Basi Ho Jaenge for youth and Student by Zeb Ghauri. Free Download ZaKHm Purane Phul Sabhi Basi Ho Jaenge in PDF.