Shoala-e-mauj-e-talab KHun-e-jigar Se Nikla
shoala-e-mauj-e-talab KHun-e-jigar se nikla
na-rasai mein bhi kya kaam hunar se nikla
nashsha-e-marg si ek lahr lahu mein chamki
jab qaba utri to KHanjar bhi kamar se nikla
sang-e-be-his se uThi mauj-e-siyah-tab koi
sarsaraata hua ek sanp khanDar se nikla
main ne dekha tha sahaare ke liye chaaron taraf
ki mere pas hi ek hath bhanwar se nikla
dil ke aashob ka nairang tha kya ashk mein 'zeb'
ek betab samundar bhi guhar se nikla
(1122) Peoples Rate This