Shahr Mein Humse Kuchh Aashufta-dilan Aur Bhi Hain
shahr mein hum se kuchh aashufta-dilan aur bhi hain
sahil-e-bahr pe qadmon ke nishan aur bhi hain
ret ke tude chamak uThte hain jab zulmat mein
aisa lagta hai ki kuchh log yahan aur bhi hain
kaise manzar the ki shishon ki tarah TuT gae
magar aankhon mein kai KHwab-e-giran aur bhi hain
bastiyan dil ki bhi sunsan paDi hain kab se
ye khanDar hi nahin sayon ke makan aur bhi hain
shab ke sannaTe mein chaTTanon ko dekho ai 'zeb'
tum se begana-e-fariyaad-o-fughan aur bhi hain
(1035) Peoples Rate This