Rang-e-ghazal Mein Dil Ka Lahu Bhi Shamil Ho
rang-e-ghazal mein dil ka lahu bhi shamil ho
KHanjar jaisa bhi ho lekin qatil ho
is taswir ka aab o rang nahin badla
jaane kab ye dil ka naqsh bhi baatil ho
shor-e-fughan par itni bechaini kaisi
tum se kya tum kaun kisi ke qatil ho
dekh kabhi aa kar ye la-mahdud faza
tu bhi meri tanhai mein shamil ho
main ki hun ek thaka-haara aur manda shaKHs
meri ana kahti hai mere muqabil ho
'zeb' sawal ab ye hai tujhe pahchane kaun
kis ki nazar is gahrai ki hamil ho
(1054) Peoples Rate This