Pahle Mujhko Bhi KHayal-e-yar Ka Dhoka Hua
pahle mujh ko bhi KHayal-e-yar ka dhoka hua
dil magar kuchh aur hi aalam mein tha khoya hua
dil ki surat ghaT rahi hai Dubte suraj ki lau
uTh raha hai kuchh dhuan sa dur bal khata hawa
main ne betabana baDh kar dasht mein aawaz di
jab ghubar uTTha kisi diwane ka dhoka hua
nind uchaT jaegi in matwali aankhon ki na sun
meri hasti ka fasana hai bahut uljha hua
dil se Takra jati hai rah rah ke koi mauj 'zeb'
shab ka sannaTa koi bahta hua dariya hua
(1225) Peoples Rate This