Naqsh-e-taswir Na Wo Sang Ka Paikar Koi
naqsh-e-taswir na wo sang ka paikar koi
us ko jab dekho badal jata hai manzar koi
kashish-e-harf-e-tabassum hai labon mein ru-posh
gosha-e-chashm se hansta hai sitamgar koi
jurra-e-aKHir-e-mai hai ki giran-KHwabi-e-shab
chand sa Dub raha hai mere andar koi
chaDhte dariya sa wo paikar wo ghaTa se gesu
rasta dekh raha hai mera manzar koi
sadaf-e-bahr se nikli hai abhi laila-e-shab
apni muTThi mein chhupae hue gauhar koi
kho gaya phir kahin aflak ki pahnai mein
der tak chamka kiya TuTa hua par koi
saf-e-ada hai mere samne aur pusht pe hain
na farishte na ababilon ka lashkar koi
TuT kar girti hai upar mere chaTTan ki hai
baiat-e-sang mere dast-e-hunar par koi
raat bhar taqat-e-parwaz ugati hai unhen
kaT deta hai sahar-dam mere shahpar koi
mere qatil ne baDha di mere sach ki tauqir
is sile ke liye mauzun tha payambar koi
aaj is qarya-e-viran mein ye aahaT kaisi
dil ke andar hai koi aur na bahar koi
kisi jhaDi se kiran chhuTi hai suraj ki ki 'zeb'
chamak uTTha hai kisi hath mein KHanjar koi
(1155) Peoples Rate This