Murad-e-shikwa Nahin Lutf-e-guftugu Ke Siwa
murad-e-shikwa nahin lutf-e-guftugu ke siwa
bacha hai pairahan jaan mein kya rafu ke siwa
hawa chali thi har ek samt us ko pane ki
na kuchh bhi hath laga gard-e-justuju ke siwa
kisi ki yaad mujhe bar bar kyun aai
us ek phul mein kya shai thi rang-o-bu ke siwa
ubharta rahta hai is KHak-e-dil pe naqsh koi
ab is nawah mein kuchh bhi nahin numu ke siwa
adhuri chhoD ke taswir mar gaya wo 'zeb'
koi bhi rang mayassar na tha lahu ke siwa
(1073) Peoples Rate This