Mera Nishan Bhi DhunDh Ghubar-e-mah-o-aKHtar Mein
mera nishan bhi DhunDh ghubar-e-mah-o-aKHtar mein
kuchh manzar main ne bhi banae banae hain manzar mein
puchho to zaKHmon ka hawala dena mushkil hai
itni be-tartibi si hai dil ke daftar mein
wo maujon ki tesha-zani se gunjti chaTTanen
wo patthar si raat ka Dhalna chand ke paikar mein
itna yaad hai jab main chala tha su-e-dasht-e-bala
maujen marta ek dariya bahta tha barabar main
chamak raha hai KHema-e-raushan dur sitare sa
dil ki kashti tair rahi hai khule samundar mein
'zeb' mujhe Dar lagne laga hai apne KHwabon se
jagte jagte dard raha karta hai mere sar mein
(1003) Peoples Rate This