Mera Adam Wajud Bhi Kya Zar-nigar Tha
mera adam wajud bhi kya zar-nigar tha
chaaron taraf KHala mein chamakta ghubar tha
sahil bani nigah ki had fasle miTe
girdab-e-mauj-e-dud makan ka hisar tha
pi kar lahu siyah hui kisht-e-arzu
kya dekhte ki KHak ka dawa bahaar tha
maujon mein Dubti hui surKHi thi sham ki
dil dasht-e-pur-sukut tha dariya qarar tha
ek bojh uThae sham ko lauTa hun main niDhaal
main apne dam-e-shauq mein kya KHud shikar tha
dil ka suragh kya ki jahan tak nigah ki
nairang-e-naqsh-e-rafta-e-pa-e-farar tha
main ek shajar sukut tha aur meri chhanw mein
girta hua sadaon ka ek aabshaar tha
KHurshid-o-mah mere liye ek fasana the
tarik jangalon ka main lail-o-nahaar tha
shoale daraaz dast the aur mere samne
KHurshid sham-e-dasht ka tarik ghaar tha
main KHak-e-dil bikher raha tha hawa mein 'zeb'
aur is se be-KHabar tha ki us mein sharar tha
(1150) Peoples Rate This