Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_653f611e7b693d5b5f2321d68f9c01df, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Mauj-e-reg Sarab-e-sahra Kaise Banti Hai - Zeb Ghauri Poetry In English - Darsaal

Mauj-e-reg Sarab-e-sahra Kaise Banti Hai

mauj-e-reg sarab-e-sahra kaise banti hai

bahta hua aaina-e-dariya kaise banti hai

khil ke kali chup kyun rahti hai shaKH-e-zar-afshan par

phir ye chahakti kokti chiDiya kaise banti hai

bahar ke manzar bhi hasin kyun lagne lagte hain

dil ki lahr ek kaif-e-sarapa kaise banti hai

aansu se kitna gahra hai miTTi ka rishta

duniya phir gham se begana kaise banti hai

uDte hue patton ki sada ye shor hawaon ka

jangal ki ye faza sannaTa kaise banti hai

main to chaak pe kuza-gar ke hath ki miTTi hun

ab ye miTTi dekh khilauna kaise banti hai

bah gaya mera gharaunda to ek rele hi mein 'zeb'

pani par qaem ye duniya kaise banti hai

(1230) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mauj-e-reg Sarab-e-sahra Kaise Banti Hai In English By Famous Poet Zeb Ghauri. Mauj-e-reg Sarab-e-sahra Kaise Banti Hai is written by Zeb Ghauri. Read famous Poem Mauj-e-reg Sarab-e-sahra Kaise Banti Hai for youth and Student by Zeb Ghauri. Free Download Mauj-e-reg Sarab-e-sahra Kaise Banti Hai in PDF.