Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_4431dbf17d4087964c01a02e96399e66, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Main Chhu Sakun Tujhe Mera KHayal-e-KHam Hai Kya - Zeb Ghauri Poetry In English - Darsaal

Main Chhu Sakun Tujhe Mera KHayal-e-KHam Hai Kya

main chhu sakun tujhe mera KHayal-e-KHam hai kya

tera badan koi shamshir-e-be-niyam hai kya

meri jagah koi aaina rakh liya hota

na jaane tere tamashe mein mera kaam hai kya

asir-e-KHak mujhe kar ke tu nihaal sahi

nigah Dal ke to dekh zer-e-dam hai kya

ye Dubti hui kya shai hai teri aankhon mein

tere labon pe jo raushan hai us ka nam hai kya

mujhe bata main teri KHak ab kahan rakh dun

ki 'zeb' arz-o-sama mein tera maqam hai kya

(1061) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Chhu Sakun Tujhe Mera KHayal-e-KHam Hai Kya In English By Famous Poet Zeb Ghauri. Main Chhu Sakun Tujhe Mera KHayal-e-KHam Hai Kya is written by Zeb Ghauri. Read famous Poem Main Chhu Sakun Tujhe Mera KHayal-e-KHam Hai Kya for youth and Student by Zeb Ghauri. Free Download Main Chhu Sakun Tujhe Mera KHayal-e-KHam Hai Kya in PDF.