Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_ac99e941cd059f2634623cb9f6cef22a, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Khuli Thi Aankh Samundar Ki Mauj-e-KHwab Tha Wo - Zeb Ghauri Poetry In English - Darsaal

Khuli Thi Aankh Samundar Ki Mauj-e-KHwab Tha Wo

khuli thi aankh samundar ki mauj-e-KHwab tha wo

kahin pata na tha us ka ki naqsh-e-ab tha wo

ulaT rahi thin hawaen waraq waraq us ka

likhi gai thi jo miTTi pe wo kitab tha wo

ghubar-e-rang-e-talab chhaT gaya to kya dekha

sulagti ret ke sahra mein ek sarab tha wo

sab us ki lash ko ghere hue khaDe the KHamosh

tamam tishna sawalat ka jawab tha wo

wo mere samne KHanjar-ba-kaf khaDa tha 'zeb'

main dekhta raha us ko ki be-naqab tha wo

(1038) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Khuli Thi Aankh Samundar Ki Mauj-e-KHwab Tha Wo In English By Famous Poet Zeb Ghauri. Khuli Thi Aankh Samundar Ki Mauj-e-KHwab Tha Wo is written by Zeb Ghauri. Read famous Poem Khuli Thi Aankh Samundar Ki Mauj-e-KHwab Tha Wo for youth and Student by Zeb Ghauri. Free Download Khuli Thi Aankh Samundar Ki Mauj-e-KHwab Tha Wo in PDF.