Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_fad0550b4ade00fd78cbebd2ad0ae3c3, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kab Talak Ye Shola-e-be-rang Manzar Dekhiye - Zeb Ghauri Poetry In English - Darsaal

Kab Talak Ye Shola-e-be-rang Manzar Dekhiye

kab talak ye shola-e-be-rang manzar dekhiye

kyun na harf-e-sabz hi likh kar zamin par dekhiye

phir kahin sahra-e-jaan mein khaiye taza fareb

phir sarab-e-chashma o aks-e-sanobar dekhiye

leT rahiye band kar ke aankhen jalti dhup mein

aur phir sabz o siyah suraj ka manzar dekhiye

phir barahna shaKHon ke sae mein dam lije kahin

rengte sanpon ko apne tan ke upar dekhiye

dad dije shaukat-e-tamir-e-arsh-o-farsh ki

aur phir buniyaad-e-hast-o-bud Dha kar dekhiye

chandni raaton mein ek aaseb ban kar ghumiye

ghar ki diwaron par apna saya be-sar dekhiye

hai jigar kis ka jo is tegh-e-hunar ki dad de

apne hathon zaKHm kha kar apna jauhar dekhiye

be-dili ki tah mein ghota mar kar baiThe hain hum

'zeb' phir pani pe kab ubhrega patthar dekhiye

(998) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kab Talak Ye Shola-e-be-rang Manzar Dekhiye In English By Famous Poet Zeb Ghauri. Kab Talak Ye Shola-e-be-rang Manzar Dekhiye is written by Zeb Ghauri. Read famous Poem Kab Talak Ye Shola-e-be-rang Manzar Dekhiye for youth and Student by Zeb Ghauri. Free Download Kab Talak Ye Shola-e-be-rang Manzar Dekhiye in PDF.