Jhuke Hue PeDon Ke Tanon Par Chhap Hai Chanchal Dhaare Ki
jhuke hue peDon ke tanon par chhap hai chanchal dhaare ki
haule haule Dol rahi hai ghas nadi ke kinare ki
kasi hui mirdang sa pani hawa ki thap se bajta hai
lahar tarang se uThti hai jhankar kisi ektare ki
khuli faza mein nikle to zang-e-yaksani dur hua
ek hawa ke jhonke ne rangat badli angare ki
abr ki tah mein bijli chamki us ka tabassum tha magar aur
lafzon mein pahchan na pae thi jo baat ishaare ki
dekh raha hun band KHuda ki muTThi hone wali hai
subh ke moti par ab bhi hai dhimi aanch sitare ki
saKHt chaTanen shisha pani gul-buTe sab zaea the
sang-o-shajar ko mani de gai tan kisi banjare ki
(1062) Peoples Rate This