Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_1c02fe5591e29c90330a9f8aad9c08a6, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Jag Ke Mere Sath Samundar Raaten Karta Hai - Zeb Ghauri Poetry In English - Darsaal

Jag Ke Mere Sath Samundar Raaten Karta Hai

jag ke mere sath samundar raaten karta hai

jab sab log chale jaen to baaten karta hai

sham ko der se pahunchun to lagta hai KHafa mujh se

mujh se bahut barham ho aisi ghaten karta hai

mere siwa shayad us ka bhi koi dost nahin

meri apni jaane kya kya baaten karta hai

dil gham se bojhal ho to dekho phir chheDen us ki

chhinTe munh pe mar ke kya barsaten karta hai

aur bhi gahri ho jati hai us ki sargoshi

mujh se kisi ki aankhon ki jab baaten karta hai

mujh ko motiyon se kya lena 'zeb' samundar bhi

jaane kya mere ashkon ki saughaten karta hai

(1254) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jag Ke Mere Sath Samundar Raaten Karta Hai In English By Famous Poet Zeb Ghauri. Jag Ke Mere Sath Samundar Raaten Karta Hai is written by Zeb Ghauri. Read famous Poem Jag Ke Mere Sath Samundar Raaten Karta Hai for youth and Student by Zeb Ghauri. Free Download Jag Ke Mere Sath Samundar Raaten Karta Hai in PDF.